Sunday, 6 August 2017


Kuch Bhi Nahi


Zindagi khwab e pareshan ke siva kuch bhi nahi
Be sabab aankh bhar aayi huva kuch bhi nahi


Hum wo saahil hai maujon se gila kuch bhi nahi
Aakhir kaar wafaon ka sila kuch bhi nahi


Dil ka haal hum ashkon se bayan karte rahe
Der tak sunte rahe aur kaha kuch bhi nahi


Ab ye aalam hai tasweer bane baithe hain
Kapkapate huve honto pe sada kuch bhi nahi


Mausam e hijr me kis qadar hun pareshan
Lekin afsoos sitam gar ko pata kuch bhi nahi


Shams aagaz e mohabbat hai sambhal sakte ho
Ab bhi hai waqt ke haatho se gaya kuch bhi anhi




Hausla

Hausla


Saturday, 1 July 2017

Aahista chal ae zindagi...

Aahista chal ae zindagi

Aahista chal ae zindagi  
Abhi kai qarz chukan baqi hai.
Kuch dard mitana baqi hai,
Kuch farz nibhana baqi hai.

Raftar me teri chalne se,
kuch rooth gaye kuch chhot gaye
Roothon ko manana baqi hai
Roton ko hasana baqi hai

Kuch hasratein abi adhuri hai
Kuch kaam bhi aur zaruri hai
Khwahishen jo ghut gayi 
Is dil me unko dafnana baqi hai.

Kuch rishtey ban kar toot gaye
Kuch judte judte chhot gaye
In toote chhote rishton ke
Zakhmon ko mitana baqi hai

In saanso pe haq hai jinka,
Inko samjhana baqi hai

Aahista chal ae zindagi.....

Saturday, 24 June 2017

चलने का हौसला नहीं रुकना मुहाल कर दिए 
इश्क़ के इस सफर ने तो मुझको निढाल कर दिए

मिलते हुए दिलों के बीच और था फैसला कोई 
उसने मगर बिछड़ते वक़्त और एक सवाल कर दिया
ऐ मेरी गुल ज़मीन तुझे चाहए थी इक किताब 
एहले-ऐ-किताब ने मगर क्या तेरा हाल कर दिया
मुमकिन फैसलों में इक हिज्र का फैसला भी था 
हम ने तो एक बात की उसने कमाल कर दिया
मेरे लबों पे मोहर थी , पर मेरे शीशा रू ने तो 
शहर के शहर को मेरा वाक़िफ़ -ऐ -हाल कर दिए
चेहरा और नाम एक साथ आज न याद आ सके 
वक़्त ने किस शबीह को ख्वाब -ओ-ख्याल कर दिया
मुद्दतों बाद उसने आज मुझसे कोई गिला किया 
मनसब -ऐ -दिलबरी पे क्या मुझको बहाल कर दिए

Wednesday, 21 June 2017

Shehar Ke Dukandaron 


Shehar Ke Dukandaro, 

Karobaar-E-Ulfat Mein Sood Kya Ziyan Kya Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay
Dil Ke Daam Kitne Hain 
Khuwab Kitne Mehnge Hain 
Aur Naqd-E-Jaan Kya Hai 
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Koi Kaisay Milta Hai
Phool Kaisay Khilta Hai 
Aankh Kaisay Jhukti Hai 
Saans Kaisay Rukti Hai
Kaisay Reh Nikalti Hai 
Kaisay Baatein Chalti Hai 
Shouq Ki Zabaan Kya Hai, 
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Wasl Ka Sukoon Kya Hai,
Hijr Ka Junoon Kya Hai,
Husn Ka Fusoon Kya Hai, 
Ishq Ke Daroon Kya Hai
Tum Mareez-E-Danai 
Maslihat Ke Shaydai 
Raah-E-Gumrahan Kya Hai, 
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Zakhm Kaisay Phaltay Hain 
Daagh Kaisay Jaltay Hain 
Dard Kaisay Hota Hai 
Koi Kaisay Rota Hai
Ashq Kya Hai Nalay Kya 
Dasht Kya Hai Chhalay Kya 
Aah Kya Fughaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hain 
Kaisay Zinda Rehtay Hain 
Aur Kaisay Martay Hain
Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai 
Zeest Be-Umaan Kya Hai, 
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Janta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai 
Shaksiyat Sayjanay Mein Ik Yeh Mahiri Bhi Hai
Phir Bhi Harf Chuntay Ho 
Sirf Lafz Suntay Ho 
In Ke Darmiyaan Kya Hai, 
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Fusuun = Magic
Ranai = Beauty
Masalihat = Prudent Measure, A Good Thing
Shaedai = Lover
Fughaan = Cry Of Distress/Pain, Lamentation