Kuch Bhi Nahi
Zindagi khwab e pareshan ke siva kuch bhi nahi
Be sabab aankh bhar aayi huva kuch bhi nahi
Hum wo saahil hai maujon se gila kuch bhi nahi
Aakhir kaar wafaon ka sila kuch bhi nahi
Dil ka haal hum ashkon se bayan karte rahe
Der tak sunte rahe aur kaha kuch bhi nahi
Ab ye aalam hai tasweer bane baithe hain
Kapkapate huve honto pe sada kuch bhi nahi
Mausam e hijr me kis qadar hun pareshan
Lekin afsoos sitam gar ko pata kuch bhi nahi
Shams aagaz e mohabbat hai sambhal sakte ho
Ab bhi hai waqt ke haatho se gaya kuch bhi anhi
No comments:
Post a Comment