Wednesday, 21 June 2017

Shehar Ke Dukandaron 


Shehar Ke Dukandaro, 

Karobaar-E-Ulfat Mein Sood Kya Ziyan Kya Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay
Dil Ke Daam Kitne Hain 
Khuwab Kitne Mehnge Hain 
Aur Naqd-E-Jaan Kya Hai 
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Koi Kaisay Milta Hai
Phool Kaisay Khilta Hai 
Aankh Kaisay Jhukti Hai 
Saans Kaisay Rukti Hai
Kaisay Reh Nikalti Hai 
Kaisay Baatein Chalti Hai 
Shouq Ki Zabaan Kya Hai, 
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Wasl Ka Sukoon Kya Hai,
Hijr Ka Junoon Kya Hai,
Husn Ka Fusoon Kya Hai, 
Ishq Ke Daroon Kya Hai
Tum Mareez-E-Danai 
Maslihat Ke Shaydai 
Raah-E-Gumrahan Kya Hai, 
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Zakhm Kaisay Phaltay Hain 
Daagh Kaisay Jaltay Hain 
Dard Kaisay Hota Hai 
Koi Kaisay Rota Hai
Ashq Kya Hai Nalay Kya 
Dasht Kya Hai Chhalay Kya 
Aah Kya Fughaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hain 
Kaisay Zinda Rehtay Hain 
Aur Kaisay Martay Hain
Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai 
Zeest Be-Umaan Kya Hai, 
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Janta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai 
Shaksiyat Sayjanay Mein Ik Yeh Mahiri Bhi Hai
Phir Bhi Harf Chuntay Ho 
Sirf Lafz Suntay Ho 
In Ke Darmiyaan Kya Hai, 
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Fusuun = Magic
Ranai = Beauty
Masalihat = Prudent Measure, A Good Thing
Shaedai = Lover
Fughaan = Cry Of Distress/Pain, Lamentation

No comments:

Post a Comment